Zamane ney buhat samjhaya lekin na mana,
jub mein tere pyaar ka azaar karta,
zamana hansta aur pagal kehta,
lekin na mana aur karta raha pyaar tujh se
Kuda ney bhi buhat samjhaya lekin na mana,
jub mein tere kheyaaloin mein kho jata,
ankh hi nahi bulkey dil bhi rotaa,
lekin na mana aur khoyaa raha kheyaaloin mein tere
Mein ney bhi buhat samjhaya lekin na mana,
jub mein teri sha-e-ri karta,
jiisim hi nahi dil bhi lahu bahata,
lekin na mana aur tera sha-er bun gaya
hazaar logoin ki hazaar manatein,
mein aur too kabhi saath na rahein,
zamana mana, kuda mana, mein bhi mana,
lekin yeh udaas dil na mana
-Syed Ahsan Ali Zaidi Abidi (SAAZA)
No comments:
Post a Comment